Wednesday 17 September 2014

Jyotish Aor Rajyoga

    
Namaskar mere dosto! Aaj hum apne blog per jyotish mei banne wale kuch behtareen rajyogo ke baare mein charcha kerenge. Kyonki in rajyogo ya aise hi samriddhipart yogo ko har koi vykti apni kundli mein khojta rehta hai. Jaise ki yeh kaise bante hai aor inka humare uper kya prabhav padta hai. Sabse pahle mein yeh saaf bta dena chahta hoon ki Rajyogo ka matlab Raja banne se nahi hai hota hai, ishka matlab yeh nhi hai ki aap Raja ban jayenge ya aaj ke jamaane ko dhayan mei rakh ker kahe to Raja tulya Minister or Prime minister ban jayenge ya Ambani Adani ban jayenge.
Raajyog humaari zindgi ko ek comfortable life style dete hai.
Raajyog se humara matlab jivan jine ka status Raja tulya hona hai. Ise aap ek example se samje jaise ek vyakti ka business chandni chowk mein hai jisko jayda mehnat nhi karni hoti, business bhut accha chal rha hai sabi kaam phon per ho jate hai aor income bi bhut acchi hai, to yeh bi ek raj yog ki category hai. Use koi preshani nhi hai. Rajyog life ko comfortable banate hai. Aaj hum yahan kuch Rajyoga ki charcha karenge jinme se kuch ka naam kaafi famous hai aor jinke bare mein aapko confusion hai.

1. Gajkesari Yoga - Gajkesari Yog ka naam aapne pahle bi kai logo ke madhyam se suna hoga joki jyotish mein banne wale kuch mahan Rajyoga mein se ek hota hai. Iske srajan guru or chandra devta mil kar kerte hai. Jab kundli ke kisi bhav mei yeh dono ek sath baith jaate hai ya ek dusare se kendra mein hote hai tab ish yog ka srajan hota hai ish prakar ye yog banta hai. Is yog yog mein janma insaan deviya gun laker sansaar mein aata hai. Dharmik karmkand mein ruchi rakhne wala, bhagwan mei aastha rakhne wala hota hai. Aisa jaatak mann ka saaf hota hai wo kisi ka bura sochta na karta, wo kisi ka hakk nhi marta hai. Aisa jaatak dayalu swabhav ka hota hai tatha dusro ki help karne ke liye hamesa taiyaar rehta hai.
 Aise jaatak apne jivan ke 30 year pure hone ke baad bhut progress karte hai. Kark(Cancer) rashi mei banne wala Gajkesari Yog sabse aacha hota hai tatha yeh vykti ho uske jivan ke sarvottm shikhar tak pahucha deta hai kyonki ish rashi mei dev guru Brihaspati ucch rashi ke aor chandra mei apni rashi mei hota hai. Kark rashi mei bna gaj kesri yog praay kam hi logo ki kundli mei dekhne ko milta hai. Kyonki iske banne ke liye pichahle janmno ki purv sanchit acche karm zaruri hote hai.

2.  Panch Mahapurusha Yoga -Panch Mahapursh Rajyogo ke baare mein log bhut adhik asmanzas mein rehte hai, une pta nhi hota ki yeh koi ek yog hai ya ek se adhik yog hai. Aaj mein aapko btata hun ki Panch Mahapurusha Yog 5 grahon ke dwara banne wale yog hote hai. Mangal(Mars), Buddh (Mercury), Brihaspati(Jupiter), Shukra devta(Venus) aor Shani(Saturn) banate hai.

(A).  Ruchak Yoga - Mangal devta ish yog ka nirmaan karte hai. Janam kundli ke kendra sthano 1st,4th ,7th aor 10th house mein jab bi apni  rashi, apni mooltrikona rashi ya apni ucch rashi mein baithe hote hai tab ish yog ka nirmaan karte hai. Yeh yog jaatak ko uski working field mein Raja ke samaan bna deta hai. Aisa jaatak robdaar personality maalik hota hai sath hi dusra se apni baatai mann wane mein puri tarah samarth hota hai.
Iske alawa mangal devta jaatak ko sahasik kaam se jaise ki Army, Armed forces, Police department se bi jodte hai. Aisa jaatak ucch level ka builder ya property dealer bhi banta hai.  Medical, Medician, Doctor, Surgeon, Property, Forces ye saare Mangal Devta ke hi field hai aor in saari fields mein se kisi mein bi Mangal Devta jaatak ko jod dete hai.

(B). Bhadra Yoga - Buddh Devta ish yog ka nirmaan kundli ke kendra sthano 1st,4th ,7th aor 10th house mein jab bi apni  rashi, apni mooltrikona rashi ya apni ucch rashi mein baithe hote hai tab ish yog ka nirmaan karte hai.Buddh hi aise grah hai jo kewel apni rashi Kanya(Virgo) mein hi uccha ke hote hai. Aasaan words mein aap keh sakte hai ki Buddh Dev apni rashiyo mein hi ish yog ka nirmaan karte hai. Ish yog se sambandh rakhne wala jataak Journalism, Teaching, Liaising, Writing, Management, Radio Jocky aor Jyotishi Vidhya mei rucchi rakhne wala hota hai. Aise jaatak samaanya se adhich Buddiwan hote hai. Aor apne gyan ke kaaran aise logo ki kirti amar ho jati hai.

(C). Hans Yoga - Devtaon ke bi Guru Brihaspati ish yog ke karak grah hai. Aor grahon ki tarah hi Brihaspati kundli ke Kendra sthano mei 1st,4th ,7th aor 10th house mein jab bi apni rashi, apni mooltrikona rashi ya apni ucch rashi mein baithe hote hai tab ish yog ka nirmaan karte hai. Hans yog jaatak ko vidwan or Gyani banta hai. Bhagwan ki prti aise jaatak hi vishesh aastha hoti hai. Aise jaatako mein justice karne ka vishesh gun hota hai. Wo sadaiv hans ke samaan aachran karta hai tatha apne jivan mein har sukh suvidha ko bhogta hai.

(D). Malavya Yoga - Asuryo ke guru Shukracharya ish yog ka nirmaan kundli ke kendra sthano mei apni ya ya apni uccha rashi mei baith ker karte hai. Aasha karta hun ab aapko yeh to pta hi chal gya hoga ki kundli ke kendra sthan 1st,4th ,7th aor 10th hote hai.
Asuro ke guru Shukra Devta ke kya kehne kai vidhyaon mei inke pas devtao ke guru se bhi jayda vidhya hai jaise ki mrit sanjeevani vidhya sirf inke pass hi hai. गायन , नृत्य कला, श्रृंगार inse jayda acchi koi nhi jaanta hai. Sampurn 64 kalayon ke swami yhi grah hai. Janam kundli mei akle Shukra devta hi acchi sthti mein ho to jaatak ko saare bhog vilas se purn karte hai. Mene aisi aisi Janamkundli bi dekhi hai jinme akle Shukra devta kendra mei uccha rashi ke the aor un logs ne apne jivan mei kaamyabi ki ek mishal gadd di.
Dosto iska matlab kabi yeh mat samjna ki hum to kuch nhi karenge akle shukra devta hi sub kuch kar denge. Aisa katai bi sambhav nhi jab tak ki aap karam nhi karenge kyonki Bhagya to langda hai use Karmo ki Vaishaki se chalaya jata hai. Karam Siddhant ke baare mei hum alag se charcha karenge.
Hotels, Restaurant, Fashion aor Fashion designing, Dance, Acting, Singing, Beauty contestant, Bar and club yeh sub Shukra Devta ke kaarya hai jin me se mene kuch hi ka varnan kiya hai. In sabi se Shukra devta jaatak ko jod dete hai.

(F)  Sasha Yoga / Shash Yoga - Jab Shani Maharaj kundli ke Kendra sthano mein apni rashi, apni mooltrikona rashi aor apni ucch rashi mein karte hai. Yeh yog apne aap mein ek mahan rajyog hota hai. Yahi yog Bharat mei prime minister Shri Atal Bihari Vajpayee ki kundli mei hai. Yeh yog dhire dhire jaatak ko bulandiyo tak pahuchane mei samarth hota hai.

No comments:

Post a Comment