Wednesday 24 September 2014

Pitra Dosha Reason and Remedies By Astrologer Rahul Raghav

Namaskar Dosto, Swagat karta hun ek bar fir se aap sub ka mere blog per!

Aaj jab mein yeh post likh rha hun Pitra Paksh(Shraad) samapt ho rha hai. Aaj mein aapko Pitra dosh ke baare mein btaunga. Mene Pichli kai posto mein kai dosho ke baare mein likha hai per mene wahan ek dosh ke baare mein nahi likha tha kyonki ishko likhne ke liye alag se ek post ki jarurat mehsus hui thi.
Pitra Dosha / Pitra Dosh ek aisa dosh hai jiska naam sunte hi mann mein ek alag tarah ka darr baith sa jata hai. Aor log apni apni janamkundli utha kar use dundne ki kosis karte hai ki kahi yeh humari kundli mein to viraajmaan nahi hai. Unka darr bi theek hai kyonki is dosh ke prinaam apne aap mein khatarnaak hote hai. Mene apne jivan mein aisi kai kundliyan dekhi hai jinme ye dosh viraajmaan hai aor un logo ka pura jivan unme puri kaabiliyat hote hue bi vyarth sa hi nikal gya hai.Aaj mein aapko btaunga ki ye kaise banta hai.

Pitra Dosha:

Janam kundli ke trikone bhavo mein se kisi ek bhav per pitra karak Surya ki Rahu ya Shani ke sath yuti ho to jaatak ko pitra dosh lagta hai.

Rahu aor Shani kundli ke kisi bhav mein ek sath yuti bna kar baithe ho to kundli pitra dosha se prabhavit hoti hai.

Agar Jaman kundli mein Pitra Karak Surya ya Blood ka karak Mangal 9th house mein Nich rashi mei baitha ho aor ush per Rahu ya Ketu ki drishti ho tab bi Pitra dosh ka nirmaan ho jata hai.

Lagan ya Chandra Kundli mein Navma bhav ya navmesh rahu ketu se Prabhavit ho. 

Jaman kundli mein Lagnesh agar trik bhavo (6th, 8th, 12th house) mein ho aor  Rahu ya Ketu lagan mein ho to bi Pitra dosh lagta hai.

Astmesh (Lord of 8th house) ka Lagnesh (Lord of  1st house/Asendent), Panchmesh or Navmesha ke sath rashi parivartan bi Pitra Dosh ka nirmaan karta hai.

Agar 8th ya 12th house mein Guru-Rahu ki yuti ho aor 5th house mein Surya Shani ya Mangal nich rashi mei ho to Pitra dosha ke karan santaan sukha(Child born) mein problem hoti hai.

Reason of Pitra Dosha:

Janam Kundli mein Pitra dosha banne reason humare purvajo ke dwara ya humare dwara purv/ pichle janmo mein kiye gye kuch aise karamo se hote hai jo shraap ban jate hai jaise Gaay(cow) ki hatya, Abortion of baby girls, Majduro ko prtaadit karna etc. Pitra dosha ke kai aor reasons hote hai jo jaise pichale janmo mein mata pita ka apmaan karna, une dukhi karna aor fir unka shraad na karna. Ish kaaran wo hume se krodhit ho jate hai aor hume apne new birth mein pitra dosh milta hai. Family mein kisi ki akaal martyu ho jana bi pitra dosha ka reason hai.

Pooja for Pitra Dosha / Remedy for Pitra Dosha.

Narayan Nagbali aor Tripindi shraddha Trimbakeshwar Nashik mein jaakar karwaye. Ish pooja ko karwane ke liye aapko 3 days ka samay nikaal kar wahan jana padega. Ye pooja in dosho ke liye ramvaan  hoti hai. Agar Kaalsarp dosha bi janam kundli mein viraajmaan ho to ye pooja ushse bi mukti dilalti hai.

Somvati Amavasya ka Pitra Dosha ke liye Achuck Upay:

 Somvati Amavasya Pitra dosha dur karne ke liye ati uttam hoti hai khaskar ki agar aap ye upay pitra paksh mei kare. Is din peepal ke tree ke paas jaye us peeple devta ko ek janeu arpit kare sath hi dusra janeu bhagwan Vishu ji ke naam se usi peepal tree ko de. Uske baad 108 parikrama kare aor her parikarma ke purn hone per ek cow ke milk se bani hui mithayi ko peepal devta ko arpit karte chale. Sath mein Om Namo Bhagavate Vasudevaya Namha ka jaap karte rhe. Ushke baad Peepal tree aor bhagwan Vishu ji ki whi per pooja kare unse prarthana kare aor apne jaane anjaanme hue paapo ke liye maafi maange aor apne Pitra ko kalyaan ki prarthana kare. 

Pitra Paksh mein Shraddha Karam karna:
Pitra Paksh mein apne pitrao ka Shraddha karna chaiye hai. Accha rehega ki kisi nadi/river ke kinaare jaaker yeh karwaya jaye. Per agar na jaa sake to ghar mein hi kisi Pandit ko bula kar yeh karwa lena chaiye aor uske baad prasaad pandit ji ko khilaye une daan dakshina deve. Ushke baad Kaove (Crow), Dogs aor Jamadaaro ko prasad khilaye.



 

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. name- abhishek
    time - 12:12 pm
    place - jammu
    possibility of goovt job?

    ReplyDelete